Followers

Wednesday, November 28, 2007

Amber ki vasaton mein noke-qalam dubo kar to dekho
Alohi daastaanein saheefe mein sanjo kar to dekho

Resham aur makhmal ke beech zindagi ke zakham dekhoge kaise
Kabhi apne hi dil ko apne hi haatho lahoo kar to dekho

Shab ki teergi ko roshan karne wale to hain bahut
Tum din ki taariki mein ujaala harsoo kar to dekho

Sadiyon se man raha hai jashan-e-adaam zamin ke seene par
Kabhi is ke labbastaa fughaan mein khud ko dubo kar to dekho

Raat ke ashkon ka mafhoom sirf shabnam tak hi nahi mahdood
Aur bhi raaz ayaan honge in motiyon ko saanson mein piro kar to dekho

Rooh ke nehaan kone mein koi saagar machalta to hoga
Daagh-e-daaman kabhi isme dho kar to dekho

Khushboo chali hi aayegi dast-e-saba ke saath
Bikhre khwaab bhi aankhon mein sanjo kar to dekho
Ab kabhi woh zikr yahan nahi milta
Jaane kyon uska koi naam-o-nishaan nahi milta
Chaand taaron ke liye hi bani thi woh daastaan
Ghalat kya hai ke ab zameen pe woh bayaan nahi milta

Barf

Chhat aur deewar mein chhupe saaye
Dher saari chandni
undel dete hain
Maathey pe
Yeh chandni chhan chhan karti
Rangeen kaanch ki khidki pe dastak deti hai
waa huye pat se door kahin khushi
Raqs karti dikhayi deti hai
is ke alohi libaas se phootti khushboo
Mahoul ko khabeeda bana deti hai
thik isi pal garam loo ke thapedey
Sharyano mein qahar barpa kar dete hain
qatarah qatarah falak pighal kar
Dahakti zameen ko aur shararfishaan bana deta hai
Nazren bhatak kar khezaan raseedah baagh mein jaa thaharati hain
Chandni haule haule murjhaaye patton ko sahlaati hai
Ek dafaa phir khushi raqsaan hoti hai
Pata nahi yeh chandni ke saath milkar
Palkon tak aayegi yaa nahin
Rooh ki barf bahut sakht hai
Shayad sang ki tarah !!

Ek Awaaz

Khali khali aankhon mein
Sooraj ka gulaal utar raha hai
Roshni band palkon ke peechhe kuchh talaash karti hai
Yahaan na to koi khwaab hai, na koi ashq hai na hi koi diya
kahin sirf khamoshi ka taan pura rakha hai
Jo sharyaano ke ubalte toofan se bhi nahi bajta
Yeh sirf sookhe patton ki sarsaraahat
Aur chaandni ke paazeb se sur milata hai ek lamha ko
Teergi mein saayon ko talaashtaa
Shayaad in sayoon mein
Main hoon, tum ho, woh hai aur woh bhi hai
Aaj jab khaali nazron ko bhi qatal kiya jaa raha hai
Kyon nahi hamara wajood gili motti se utth khada hota
aur subah ke sone se talwaar bana kar
in qatilon ko saza deta
Magar yeh mitti ajnabiyat aur bebasi ki hawa se sookh rahi hai
Koi to ho jo in saayon ko shaklein de de
Koi to ho
Shayad main, woh, tum, tum aur tum bhi...

Saturday, July 28, 2007

Ankahe Afsaney

Aankhon ki adhkhuli kaliyon mein
Shabnam ke kuchh qatrey qaid hain
Raat ke ankahe afsane liye;
Dur kahin fizaon mein
Sehar apna aanchal jhatakti hai
Aur khwaab ke rangeen moti
Harsoo bikhar jate hain
Aur intezaar karte hain ke
Kab neend ki pari unhey samet kar
In adhkhuli kaliyon ki vaadi mein Utaregi
Aur kab
Palkon ki reshmi jhalar uthaney ke baad
Phoolon ka chaman hoga
Jahan phaili khushboo mein
Hazaaron dastaanein mahfooz hongi
Woh qamar aur main ghubaar, phir bhi us ki aarzoo hai
Kar doon gumaan ko yaqeen, yeh meri khoo hai .

Aata nahin hai naam khezaan ka bahaar mein lekin
Khezaan se hi chaman mein bahaar ki aabroo hai

Jaane kitni raatein tamam huin roz-e-vasal ke intezaar mein
Umar ki dilkashi to guzar gayi baqi uski justujoo hai

Bahaarein to kab ki mit chuki hotin jahan se
Gulshan mein in ko sametey huey to teri rang-wa-boo hai

Daagh-e-sajdah terey aastaney se na mila to kya
Tere hi naam ka vird hoga jahan jahan gira mera lahoo hai

Ek Dua

Chaand ki thandi kirano mere sanam ko khwaabon ki duniya mein le jaana;
Sitaron us ke roshan rukh pe jagmagaana;
Naseem dheerey se us ki zulfon ko chhoo janaa;
Gul apni naazuki us ke labon pe chhod janaa;
Lail apney aanchal se use sahlanaa;
Khushboo us ke pekar mein bas janaa;
Fiza apni mastiyaan us pe lutaana;
Shabnam uski palkon pe dheerey se aana;
Usey kya khabar
Is shab-e-firaq ki Jo mujhe meri khwaabgaah mein liye jaa rahi hai
Jis ki tareek gahraaiyaan
Rahengi roshan hameshaa
Mere chiragh-e-dil se;
Hawaa us se kuchh na kahnaa
Khaaq usey meraa nishaan na bataana
Tabassum us ke hoton mein bas janaa
Aur us ka haath
Sehar ke haath mein de denaa
Jo aaftaab ko Liye sirf uski muntazir hai……
Jis ne kabhi sang ka murasim parastish se tha jod diya
Jaane kyon aaj khud usi ne booton ko tod diya

Likkhe hum ne uskey afsaane zamin se falak tak
Ek apni zeest ka hi safha khaali chhod diya

Hai phaili teri dastaan sitaaron se bhi aagey
Jaane kya hua ke aaj zamin ne uthh kar falak mod diya

Chhayi rahegi surkhi baghon mein ta qayamat
Ab khezaaon me bhi kisi ne apna khoon-e-jigar nichod diya

Samandar ki syaahi se jo likhne baithhe teri daastaan
Ek waraq ke baad syaahi ne qalam ka saath chhod diya
Na arsh ke paar hi koi makaan apna hai
Na zamin apni hai, na asmaan apna hai

Kahkashaan wa qausqazah kho gayin zamin taley
Asmaan bhi toot gaya, ab sirf tu hi meharbaan apna hai

Waqt ke chehrey pe zakham hain jaane kitne
Ainaa bhi dhundhlaa hai, milta nahin koi nishaan apna hai

Jo aayee fasal-e-gul is baar to hursoo thi teri hi khushboo
Ghunchey terey, baharein teri, tera hi gulistaan apna hai

Hazaron dastaanein likhee gayin jis key seeney pe
Aaj us bekas zamin ka na koi qadardaan apna hai

Jo karo is syaah raat mein koi mashaal roshan
To shararey apney hain, aatishfishaan apna hai

Jo mod do rukh tez aandhiyon ka
To Safar apna hai, caravan apna hai

Sunday, July 22, 2007

Azmaish

kaagaz ki kashti bhi bin baadbaan
Sharyaano mein ubalta hua toofan
Aaj hai azmaish kis ki yeh
Samandar khamosh, sahil hairan

Saturday, July 21, 2007

Safar

Chaman abaad kar bhi koi uska muqam na hua
Hawa ke dosh pe bhi koi uska qyam na hua
Toofan to saarey tham gaye lekin
Safar is musht-e-ghubaar ka tamaam na hua