Followers

Wednesday, November 28, 2007

Amber ki vasaton mein noke-qalam dubo kar to dekho
Alohi daastaanein saheefe mein sanjo kar to dekho

Resham aur makhmal ke beech zindagi ke zakham dekhoge kaise
Kabhi apne hi dil ko apne hi haatho lahoo kar to dekho

Shab ki teergi ko roshan karne wale to hain bahut
Tum din ki taariki mein ujaala harsoo kar to dekho

Sadiyon se man raha hai jashan-e-adaam zamin ke seene par
Kabhi is ke labbastaa fughaan mein khud ko dubo kar to dekho

Raat ke ashkon ka mafhoom sirf shabnam tak hi nahi mahdood
Aur bhi raaz ayaan honge in motiyon ko saanson mein piro kar to dekho

Rooh ke nehaan kone mein koi saagar machalta to hoga
Daagh-e-daaman kabhi isme dho kar to dekho

Khushboo chali hi aayegi dast-e-saba ke saath
Bikhre khwaab bhi aankhon mein sanjo kar to dekho
Ab kabhi woh zikr yahan nahi milta
Jaane kyon uska koi naam-o-nishaan nahi milta
Chaand taaron ke liye hi bani thi woh daastaan
Ghalat kya hai ke ab zameen pe woh bayaan nahi milta

Barf

Chhat aur deewar mein chhupe saaye
Dher saari chandni
undel dete hain
Maathey pe
Yeh chandni chhan chhan karti
Rangeen kaanch ki khidki pe dastak deti hai
waa huye pat se door kahin khushi
Raqs karti dikhayi deti hai
is ke alohi libaas se phootti khushboo
Mahoul ko khabeeda bana deti hai
thik isi pal garam loo ke thapedey
Sharyano mein qahar barpa kar dete hain
qatarah qatarah falak pighal kar
Dahakti zameen ko aur shararfishaan bana deta hai
Nazren bhatak kar khezaan raseedah baagh mein jaa thaharati hain
Chandni haule haule murjhaaye patton ko sahlaati hai
Ek dafaa phir khushi raqsaan hoti hai
Pata nahi yeh chandni ke saath milkar
Palkon tak aayegi yaa nahin
Rooh ki barf bahut sakht hai
Shayad sang ki tarah !!

Ek Awaaz

Khali khali aankhon mein
Sooraj ka gulaal utar raha hai
Roshni band palkon ke peechhe kuchh talaash karti hai
Yahaan na to koi khwaab hai, na koi ashq hai na hi koi diya
kahin sirf khamoshi ka taan pura rakha hai
Jo sharyaano ke ubalte toofan se bhi nahi bajta
Yeh sirf sookhe patton ki sarsaraahat
Aur chaandni ke paazeb se sur milata hai ek lamha ko
Teergi mein saayon ko talaashtaa
Shayaad in sayoon mein
Main hoon, tum ho, woh hai aur woh bhi hai
Aaj jab khaali nazron ko bhi qatal kiya jaa raha hai
Kyon nahi hamara wajood gili motti se utth khada hota
aur subah ke sone se talwaar bana kar
in qatilon ko saza deta
Magar yeh mitti ajnabiyat aur bebasi ki hawa se sookh rahi hai
Koi to ho jo in saayon ko shaklein de de
Koi to ho
Shayad main, woh, tum, tum aur tum bhi...