Followers

Monday, May 19, 2008

Na Tum Kuchh Kaho, Na Main Kuchh Kahoon

Na tum kuchh kaho
Na main kuchh kahoon
Sirf khamoshi hi rahney do
Chiraag bujh bhi jayen, tarey so bhi jayen
Aankhon mein khwaab liye sirf hum tum jaagtey rahen
Aur
Khwahishon se khwahishon ki baaten karen
Hazaron lamhon ko ek lamhe mein qaid kar lein
Apne apne khwaab ek dusrey ki aankhon mein sajaa dein
Asmaan bhi apne pankh mod le to kya
Hum asmaan ki vasaton se bhi aagey chalen
Shabnam ke qatrey afsaney liye hamaare daaman mein aa giren to kya
Hum hazaron gulon pe apni dastaan chhod jaayen
Na tum kuchh kaho
Na main kuchh kahoon
Khamoshi ki nadi mein raat ke paani ko bahney do
Chaand bhi so jaye to sirf nigahen jaagti rahen
Aao
Fizaon mein bhi hum apni sharyano ki harkat chhod jayen
Bujhti shama mein bhi hum roshni bhar jayen
Zarrah zarrah ko aaj ke pal se rang jayen
Shab ki syaahi ko kisi ghazal ke alfaaz mein piro dein
Aur
Koi dhun bhi ho to liye hamari rooh ki mausiqi ho
Koi pahar dhaley to waqt hamari dastaan ka ho
Koi baat ho to khamoshi apni zabaan mein usey amar bana de
Na tum kuchh kaho
Na main kuchh kahoon
khamoshi ke safhon pe alfaaz ko dhalney do…

Tuesday, May 13, 2008

Mukhautey































Yehaan chehron ka ghanaa jangal hai
Har chehre ke peechhey ek chehraa chhupaa hai
Aur phir jaane kitne roop
Kitne swaang rachey jaatey hain
Mukhauton ko zinda karney ke liye;
Daanton se tapakte khhon ki surkhi
Kabhi kai chehron ka noor thi
Is mein mera aur tumhara chehraa bhi tha
Tumhara lahoo kisi ne mere gaalon pe mal diya
Kya yeh Holi thi? Khoon ki?
Zameen ki laplapaati zabaan
Mere zakhmi sharyano ka lahoo choosti hai
Talabgaar nighaahon ko aasmaan ka pighlaa neelam chhalni karta hai
Daudte bhagtey saaye mere khoon ke pyaasey hain;
Shayad samandar bhi inki pyaas nahin bujhaa pays
Un ki aankein khoon-ashaam parindo ki tarah dhoondhti hain...mujhey?
Andheraa badh raha hai
Shayad is mein saaye gum ho gaye hain
Ya phir saayon ne andheron ko nigal liya hai?
Taaron ki basti abaad ho rahi hai
Mera jism shal ho chukaa hai aur pair katey se jaate hain
Khumaari si aankhon mein basi jaati hai
Ummeed ke khemey sab hattey se nazar aatey hain
Saaye phir se bhaagey chaley aatey hain.
Magar raat ki syaahi mein
Main bhi tahleel hoon kahin
Kya pata raat se mulaqat ab ho ki naa ho
Bejaan laashon ke dher ko sarkaao zara
Khoon ke daldal ko khaaq se chhupaa to do
Neend se aankhein jhapki jaati hain
Do ghadi main so rahoon
Sakoon ke bhulavey mein kho rahoon
Aakhir tumhari tarah
Main bhi to Adam ki aulaad hoon...