Followers

Wednesday, August 27, 2008

Baarish


Rupahli barish sabz pedon ko nahlati meri khidki pe bhi aa thahri hai
Khilkhila kar jahank rahi hai andar
Maine uski taraf dekha to
Uski chandi ke sikkon so hansi bikhar gayi harsoo

In me ek sikka mera bhi hai
Jo kabhi chhupa hota tha...

Hare hare amrood ke ped ki shakhon pe
Jo lapak kar awazein deta tha
Aur chup-chaap sawaar ho jata tha meri kagaaz ki kashti mein
Tairti hui
Chhote se barish ke dariya mein jo tha
Albela, tedha-medha, uthta girta aur machalta
Bahta theek mere braamde ke neechey
Gili hawa ke raqs par. ithlaata aur tarang se bahta

Phool, jugnoo, aur ek peeli chhoti si titli
Lade us chhoti si dagmag karti kagaz ki kashti pe aankhon se ahista ahista ojhal hone lagte,
taiyyar kisi alohi duniya mein jaane ko.

Chham chham karti barish apne aanchal ko lahrati apne lab kholti gaane ko
Khelti aur machalti meri khidki se meri almaari mein aane ko
Baahar aaj bhi machal rahi hai meri notebook pe bikhar jaane ko

Lekin

Kisi jheel sa shaffaq khidki ka sheesha rok leta hai us ko apne seene pe
Aur baahon mein bhar kar kahta hai thahar jaane ko
Kyonki kaanch ke us paar AC ki maddhim awaaz aur keyboard ki khamosh khat khat ka taal-mel bigad jaayegaa gili baarish ki phuhaar aa jaane se
Khidki ke sheeshe ki bahon mein tadap kar baarish siski bharti hai
Aur tadapti hai
kisi bhari aankh se aansoo ki tarah phisal jaane ko…