Followers

Wednesday, January 9, 2008

Ek Lahooluhaan Subah


Aaj phir sooraj ka chehra lahooluhaan hai
Khoon ke chhintey khidki se andar aa rahe hain
Jhak safed chaadar gulnaar ho gayi hai
Chhat pe phaila gehoon yaquti ho chala hai
Hayaat qatrah qatrah saanson ki girhon se azaad ho rahi hai
Rooh pe khauf ke khoonashaam parindey mandlaatey hain
Mitti ke choolhon se nikal kar aag gali koochon mein jaa pahoonchi hai
Aur zinda javed jismo pe lapak rahi hai
Zameen ka sabz ghaleecha to kab ka khaaq ho chukaa
Yeh aag to parbat aur falak ko bhi nahin bakhshegi
Jaane kis kis des jaayegi
Is ki hiddat se tare pighal kar qasar mein bhi shagaaf kar rahen hain
Aasmaan ka kasni phool murjhaa gaya kab se
Ab to sirf chaand ka intezaar hai
Shaam hone ko aayi
Kab chandni ka kafan
zinda murda laashon ko
panaah degaa?
zindagi to nazar kar di bazam-e-dawat-e-ahbaab ko
Naama-e-amaal pesh kya karoge roz-e-hisaab ko?

Hai kya meri hasti is wasee jahaan mein
Kabhi main khaaq ko dekhoon to kabhi habaab ko

Tere qadam hi to liye jaate hain dashte sehra mein
Kyon ilzaam jaye hai satrangey saraab ko?

Chasham-e-tar to bedaar hogi kisi aur jahaan mein
Chhod chali musht-e-ghubaar is jahan-e-kharaab ko

Zindagi se is zindagi mein milna dushwaar hai bahot
Khwaab hi rahney do is anjaane khwaab ko

Aao na mil kar ek nazam likhein

Aao na
Waqt ki pitari se gira
Koi lamha uthha kar hatheli pe rakh lein
Aur saanson ki tapish se us mein
Kuchh rang, kuchh roshni, kuchh khushboo, kuchh hiddat bhar dein
Tum lekar aana apne shahar ki taaron bhari raat ko,
Tumhari khidki se chhanti tumhaare rukh pe chhayee chandni ko
Tod lana kisi saal ki shaakh se jaadey ki subah ka ek bheega pal
Jab kisi kaasni pairhan ko tum ne kagaz pe bikhera tha,
Muthhi mein bhar lana us saba ko
Jo peeley harey patte kisi subah hamaarey aas paas udaati thi.
Aur main
Le aaongi
Kuchh ankahi baatein
Kuchh thami hui saansein
Uthhti jhukti nigahein
Hatheli pe phailtey ujaaley
Khoon se seenchi kyariyaan
Aur bhi kuchh hai shayad mera tumharey paas
Woh bhi lana
Aur phir hum sunhari dhoop mein baith kar ek nazam likhenge
Dekhna kahin yeh pal
Titliyon ki tarah baageechey mein gum na ho jaayein
Ya phir koi mutarba
Inhe chura kar apne naghme me na basa le...