Followers

Wednesday, January 9, 2008

Ek Lahooluhaan Subah


Aaj phir sooraj ka chehra lahooluhaan hai
Khoon ke chhintey khidki se andar aa rahe hain
Jhak safed chaadar gulnaar ho gayi hai
Chhat pe phaila gehoon yaquti ho chala hai
Hayaat qatrah qatrah saanson ki girhon se azaad ho rahi hai
Rooh pe khauf ke khoonashaam parindey mandlaatey hain
Mitti ke choolhon se nikal kar aag gali koochon mein jaa pahoonchi hai
Aur zinda javed jismo pe lapak rahi hai
Zameen ka sabz ghaleecha to kab ka khaaq ho chukaa
Yeh aag to parbat aur falak ko bhi nahin bakhshegi
Jaane kis kis des jaayegi
Is ki hiddat se tare pighal kar qasar mein bhi shagaaf kar rahen hain
Aasmaan ka kasni phool murjhaa gaya kab se
Ab to sirf chaand ka intezaar hai
Shaam hone ko aayi
Kab chandni ka kafan
zinda murda laashon ko
panaah degaa?

1 comment:

Unknown said...

Hi Saima,
I just visited your Urdu blog. I am delighted. A suggestion: why not enclose URDU script - it is soooo very beautiful - of each poem!
Even in your handwriting.
You may also mention this blog on the side [margin].
Comments on poems are reserved for the moment.
- Remi