Followers

Tuesday, January 27, 2015



Qadam


zinia phir haya sey bojhil hai
sherbati baatein balcony se 
uske lab pe phisal rahi hain
ab toh koi chaand ko gul kare

usska rukh uss ufaq kii taraf uthta nahi

jo teri sanson ke sheeshe mein
dhalti jaa rahi hai
jaise resham shaam ke seene se phisalti jaa rahi hai

mere qadam iss lawn pe mujhse aage chalte hain
raah mein soyi sadiyon ke qataar milte hain
zaraa aur aagey ik khidki ki aankhen nam hain
usne terey puraney dinon ki uttran pahni thhi
geeley alfaaz uss se mera shikwa karte hain

raah main koi pathhar bhi nai
ki main apne ashaar ka khoon karun
aur khud apne rawa ankhon se unko ghusal dun

teri palkon key kinare
qandeelon ke baagh roshan toh thhey
yeh sunehra andhera qashtiyon ke saath
bah kar aya hai?

hazaron pyale chuur huye samandar kinare
yahan waqt khud kab sey  rezah rezah hai

thodi dur, kuchh agey
surkh titliyon ke qafile hain

kuchh zara aur dur

teri khusbooun ke mazaar milte hain
ik dareecha khulta hai, ik qadeem

safar shuru hota hai


© Saima Afreen (Photograph and poem)

1 comment:

Amiya chatterjee said...

Its not very amazing to me dear girl
that you excel in urdu poems too. A poet is versatile being . Language does not hinder her expression, her mood , her pain , her joy.Although i have some difficulties following the poem , I am quite close to your heart.


kuchh zara aur dur

teri khusbooun ke mazaar milte hain
ik dareecha khulta hai, ik qadeem

safar shuru hota hai


kuchh zara aur dur

teri khusbooun ke mazaar milte hain
ik dareecha khulta hai, ik qadeem

safar shuru hota hai