Na tum kuchh kaho
Na main kuchh kahoon
Sirf khamoshi hi rahney do
Chiraag bujh bhi jayen, tarey so bhi jayen
Aankhon mein khwaab liye sirf hum tum jaagtey rahen
Aur
Khwahishon se khwahishon ki baaten karen
Hazaron lamhon ko ek lamhe mein qaid kar lein
Apne apne khwaab ek dusrey ki aankhon mein sajaa dein
Asmaan bhi apne pankh mod le to kya
Hum asmaan ki vasaton se bhi aagey chalen
Shabnam ke qatrey afsaney liye hamaare daaman mein aa giren to kya
Hum hazaron gulon pe apni dastaan chhod jaayen
Na tum kuchh kaho
Na main kuchh kahoon
Khamoshi ki nadi mein raat ke paani ko bahney do
Chaand bhi so jaye to sirf nigahen jaagti rahen
Aao
Fizaon mein bhi hum apni sharyano ki harkat chhod jayen
Bujhti shama mein bhi hum roshni bhar jayen
Zarrah zarrah ko aaj ke pal se rang jayen
Shab ki syaahi ko kisi ghazal ke alfaaz mein piro dein
Aur
Koi dhun bhi ho to liye hamari rooh ki mausiqi ho
Koi pahar dhaley to waqt hamari dastaan ka ho
Koi baat ho to khamoshi apni zabaan mein usey amar bana de
Na tum kuchh kaho
Na main kuchh kahoon
khamoshi ke safhon pe alfaaz ko dhalney do…
3 comments:
Subhan Allah
Shukriya...
Saima Afreen: I love all your three blogs. And I like the Favorite Books list in your profile. I read most if them. They are my favorites too, especially The Last Mughal. I reviewed it on my blog: http://notesfromsaudiarabia.blogspot.com/2008/08/william-dalrymples-last-mughal.html. Do read it and let me your reaction. Best regards. Siraj Wahab, Saudi Arabia
Post a Comment