saman ke baazar
bikhrey
rooh key taar
aasman pe chipsaan ik bosaa
peshani pe ubharti ufaq
pyale mein ghulti hui
Chopin ki dhun
mera saaya,
terey pekar
ki naram dhoop
aur Shelley ke
champak phool
kii shatranj
mein zandaan,
baadshah!
hawa ka surmai harf
barf ki muhr se azaad
eelchi banke tere paas
ayaa toh hoga, na?
terey shahar ki Hoor raatein
terey bistar ki silwaton mein
noor chhod jaati hongi, na?
chandni ki ik shaakh
pe baarish ka makaan. titliyon ka safar
qandeel ki lau tak. seedhiyan thande
gulabon tak jaati huin. shaam, ik raqqasa
duur kahin parbat ke uss paar
merey bina, meri rooh kahin
saans toh leti hogi, na ...
© Saima Afreen (Photograph and poem)
bikhrey
rooh key taar
aasman pe chipsaan ik bosaa
peshani pe ubharti ufaq
pyale mein ghulti hui
Chopin ki dhun
mera saaya,
terey pekar
ki naram dhoop
aur Shelley ke
champak phool
kii shatranj
mein zandaan,
baadshah!
hawa ka surmai harf
barf ki muhr se azaad
eelchi banke tere paas
ayaa toh hoga, na?
terey shahar ki Hoor raatein
terey bistar ki silwaton mein
noor chhod jaati hongi, na?
chandni ki ik shaakh
pe baarish ka makaan. titliyon ka safar
qandeel ki lau tak. seedhiyan thande
gulabon tak jaati huin. shaam, ik raqqasa
duur kahin parbat ke uss paar
merey bina, meri rooh kahin
saans toh leti hogi, na ...
© Saima Afreen (Photograph and poem)
1 comment:
Wish you write more often..lovely picture and beautiful poetry..:)
Post a Comment