Qadam
zinia phir haya sey bojhil hai
sherbati baatein balcony se
uske lab pe phisal rahi hain
sherbati baatein balcony se
uske lab pe phisal rahi hain
ab toh koi chaand ko gul kare
usska rukh uss ufaq kii taraf uthta nahi
jo teri
sanson ke sheeshe mein
dhalti
jaa rahi hai
jaise
resham shaam ke seene se phisalti jaa rahi hai
mere qadam
iss lawn pe mujhse aage chalte hain
raah
mein soyi sadiyon ke qataar milte hain
zaraa
aur aagey ik khidki ki aankhen nam hain
usne
terey puraney dinon ki uttran pahni thhi
geeley alfaaz uss se mera shikwa karte hain
raah
main koi pathhar bhi nai
ki
main apne ashaar ka khoon karun
aur
khud apne rawa ankhon se unko ghusal dun
teri palkon key kinare
qandeelon ke baagh roshan toh thhey
yeh sunehra andhera qashtiyon ke saath
bah kar aya hai?
hazaron
pyale chuur huye samandar kinare
yahan
waqt khud kab sey rezah rezah hai
thodi
dur, kuchh agey
surkh
titliyon ke qafile hain
kuchh
zara aur dur
teri
khusbooun ke mazaar milte hain
ik
dareecha khulta hai, ik qadeem
safar
shuru hota hai
© Saima Afreen (Photograph and poem)
© Saima Afreen (Photograph and poem)
1 comment:
Its not very amazing to me dear girl
that you excel in urdu poems too. A poet is versatile being . Language does not hinder her expression, her mood , her pain , her joy.Although i have some difficulties following the poem , I am quite close to your heart.
kuchh zara aur dur
teri khusbooun ke mazaar milte hain
ik dareecha khulta hai, ik qadeem
safar shuru hota hai
kuchh zara aur dur
teri khusbooun ke mazaar milte hain
ik dareecha khulta hai, ik qadeem
safar shuru hota hai
Post a Comment