Followers

Wednesday, January 9, 2008

Aao na mil kar ek nazam likhein

Aao na
Waqt ki pitari se gira
Koi lamha uthha kar hatheli pe rakh lein
Aur saanson ki tapish se us mein
Kuchh rang, kuchh roshni, kuchh khushboo, kuchh hiddat bhar dein
Tum lekar aana apne shahar ki taaron bhari raat ko,
Tumhari khidki se chhanti tumhaare rukh pe chhayee chandni ko
Tod lana kisi saal ki shaakh se jaadey ki subah ka ek bheega pal
Jab kisi kaasni pairhan ko tum ne kagaz pe bikhera tha,
Muthhi mein bhar lana us saba ko
Jo peeley harey patte kisi subah hamaarey aas paas udaati thi.
Aur main
Le aaongi
Kuchh ankahi baatein
Kuchh thami hui saansein
Uthhti jhukti nigahein
Hatheli pe phailtey ujaaley
Khoon se seenchi kyariyaan
Aur bhi kuchh hai shayad mera tumharey paas
Woh bhi lana
Aur phir hum sunhari dhoop mein baith kar ek nazam likhenge
Dekhna kahin yeh pal
Titliyon ki tarah baageechey mein gum na ho jaayein
Ya phir koi mutarba
Inhe chura kar apne naghme me na basa le...

2 comments:

kimmi said...

Painting of words! Fabulous!!

kimmi said...

Painting of words! Fabulous!!